Faasle Barhte Gaye
Faasle jo the, aur barhte gaye,
Mohabbat ke dhaage ko kheenchte gaye.
Ek din aaya, jab toot gaya,
Woh patla sa dhaaga, jo humein jod raha tha.
Seene mein ek bojh hai, dard bhari saansein,
Sharab ragon mein behti ja rahi hai.
Cigarette labon ko jala rahi hai,
Magar jo jalan dil mein hai, woh kaun bujha sakta hai?
Teri haathon ki chhuwan mehsoos karni hai,
Teri saanson ka mehek lena hai.
Teri dhadkano ki aawaaz sunni hai,
Ek pal ke liye hi sahi, tu paas ho.
Kaash waqt ka pahiya peechhe ghoom jaaye,
Phir woh pehli mulaqat ho, woh pehli raat ho.
Woh jazbaat jo tere saath jiya tha,
Phir se ek baar jeene ki fursat ho.
Magar mohabbat bhi shaayad waqt ki tarah hai,
Jo guzarti hai, kabhi waapis nahi aati.
Main aaj bhi wahi hoon, par pyaar woh nahi,
Jo ek din dil ke kareeb tha.
Main sirf yaadon mein jeeta hoon,
Aur woh pyaar… jo dheere dheere
Dhuan ban kar hawaon mein kho gaya.
© NILOY SHOUVIC ROY
Onekk sundor hoiche đĨēđ
ReplyDelete